Kasoor humara bas itna hai

Kasoor humara bas itna hai ki hum kisi ko dil se chahne lage..

phir bas gaya us ka chehra kucch is qadar humari aankhon mein..

ke har jagah hum usi ko paane lage..

har din hum bas usi ko yaad karne lage..

hum toh mandir me bhi uski fariyad karne lage..

phir huyi humse khata kucch aisi jis se hum unko nagawar gujarne lage..

phir wo humse aaj tak waqif na huye..

unko hai kya maloom..

hum wo hai jo apni jaan bhi de dein sirf unke liye..

bas itni si baat hai..

wo humko duniya me sabse pyare lagne lage..

phir wahi humse sabse zyada dur rehne lage..

ek baat hum apne dil se kaheinge..

unki chahat hum marte dum tak kareinge..

zab itna saha hai dard toh thoda aur saheinge..

teri tamanna mein hi hum jiyeinge aur mareinge..

Dil ki gehrayi mein

Tu dekh kabhi jhank ke is dil ki gehrayi mein..
Tujhe tera hi aks nazar aayega..
Hai muskaan teri phoolon se bhi pyaari..
Agar ho na yaqeen tujhe khud par..
Toh kar ke dekh tu idhar apni nigahein..
Tujhe is dil ka gulistaan nazar aayega..
Tu kya jaane is dil ke khwaab..
He isme itne panne jaise ki koi kitaab..
Kitaab ke har panne me ati hai khushboo tere naam ki..